1. Jashn-e-Baharan... |
Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
Sare sehmein nazare hain
Soye soye vaqt ke dhare hain
Aur dil mein koi khoyi si baatein hain
O Ho Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki…. chilman mein
Kaise kahen kya hai sitam
Sochte hai abb yeh hum
Koi kaise kahen woh hai ya nahi humare
Karte to hai saath safar
Fasle hain phir bhi magar
Jaise milthe nahi kisi dariya ke do kinare
Pass hain phir bhi paas nahi
Humko yeh gum raas nahi
Sheeshe ki ek diware hai jaise darmiyan
Sare sehmein nazare hain
Soye soye vaqt ke dhare hain
Aur dil mein koyi khoyi si baatein hain
O Ho Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki…. chilman mein
Humne ne jo tha nagma suna
Dil ne tha usko chuna
Yeh dasthan humen vaqt ne kaise sunai
Humjo agar hai gumgeen
Woh bhi udhar khush to nahi
Mulakato mein jaise ghul si gai tanhai
Milke bhi hum milthe nahi
Khilke bhi gul khilthe nahi
Aankhon mein hai baharein dil mein khiza
Sare sehmein nazare hain
Soye soye vaqt ke dhare hain
Aur dil mein koi khoyi si baatein hain
O HO Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulsan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki….. chilman mein
No comments:
Post a Comment